Saturday 13 October 2018

JO ZINDAGI BACHI HAI OOSE MAT GAVAIYE


Jo zindagi bachi hai oose mat gavaiye
Behtar ye hai ki aap mujhe bhuul jaiye

Har aan ik judai hai khuda apne aap se
Har aan ka hai zakhm jo har aan khaiye

Thi mashvarat ki ham ko basana hai ghar naya
Dil ne kaha ki mere dar-o-bam dhaiye

Thuka hai main ne khoon hamesha mazaq mei
Mera mazaq aap hamesha udhaiye

Hargiz mere huzur kabhi aaiye na aap
Aur aaiye agar to khuda ban ke aaiye

Ab koi bhi nahin hai koi dil-mohalle mei
Kis kis gali mei jaiye aur gul machaiye

Ik taur-e-dah-sadi tha jo be-taur ho gaya
Ab jantari bajaiye tarikh gaiye

Ik lal-qila tha jo miyan zard pad gaya
Ab rang-rez kaun se kis ja se laiye

Shair hai aap yaani ki saste latif-go
Rishton ko dil se roiye sab ko hansaiye

Jo halaton ka daur tha vo to guzar gaya
Dil ko jala chuke hain so ab ghar jalaiye

Ab kya fareb dijiye aur kis ko dijiye
Ab kya fareb khaiye aur kis se khaiye

Hai yaad par madaar mere karobar ka
Hai arz aap mujh ko bohot yaad aaiye

Bas filon ka bojh uthaya karen janab
Misra ye 'Jaun' ka hai ise mat uthaiye

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.