Saturday 13 October 2018

IK ZAKHM BHI YAARAN-E-BISMIL NAHIN AANE KA


Ik zakhm bhi yaran-e-bismil nahin aane ka
Maqtal mei pade rahiye qatil nahin aane ka

Ab kuchh karo yaaro sahra se ki sunte hain
Sahra mei ab aainda mahmil nahin aane ka

Vaaiz ko kharabe mei ik davat-e-haq di thi
Main jaan raha tha vo jahil nahin aane ka

Buniyad-e-jahan pahle jo thi vahi ab bhi hai
Yun hashr to yaran-e-yak-dil nahin aane ka

But hai ki khuda hai vo maana hai na manunga
Us shokh se jab tak main khud mil nahin aane ka

Gar dil ki ye saman-e-mahfil nahin aane ka
Bahar se to saman-e-mahfil nahin aane ka

Vo naaf pyale se sarmast kare varna
Ho ke main kabhi us ka qaail nahin aane ka

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.