Jis zakhm ki ho sakti ho tadbir rafu ki
Likh dijiyo ya rab use qismat mei adu ki
Achchha hai sar-angusht-e-hinai ka tasavvur
Dil mei nazar aati to hai ik boond lahu ki
Kyun darte ho ushshaq ki be-hauslagi se
Yaan to koi sunta nahin fariyaad kisoo ki
Dashne ne kabhi muh na lagaya ho jigar ko
Khanjar ne kabhi baat na puchhi ho gulu ki
Sad-haif vo nakam ki ik umr se 'Ghalib'
Hasrat mei rahe ek but-e-arbada-ju ki
Go zindagi-e-zahid-e-be-chara abas hai
Itna hai ki rahti to hai tadbir vazu ki


No comments
Post a Comment