Jis ja nasim shana-kash-e-zulf-e-yar hai
Naafa dimagh-e-ahuv-e-dasht-e-tatar hai
Kis ka suragh jalva hai hairat ko ai khuda
Aaina farsh-e-shash-jahat-e-intizar hai
hai zarra zarra tangi-e-ja se ghubar-e-shauq
Gar daam ye hai vusat-e-sahra shikar hai
Dil muddai o deeda bana mudda-alaih
Nazzare ko muqaddama phir ru-ba-ru hai
Chhidke hai shabnam aaina-e-barg-e-gul par aab
Ai andalib vaqt-e-vada-e-bahar hai
Be-parda su-e-vadi-e-majnun guzar na kar
Har zarra ke naqab mei dil be-qarar hai
Ai andalib yak kaf-e-khas bahr-e-ashyan
Tufan-e-amud amad-e-fasl-e-bahar hai
Dil mat ganva khabar na sahi sair hi sahi
Ai be-dimagh aaina timsal-dar hai
Ghaflat kafil-e-umr o 'Asad' zamin-e-nashat
Ai marg-e-na-gahan tujhe kya intezaar hai


No comments
Post a Comment