Wednesday, 3 October 2018

JIS BAZM MEI TU NAAZ SE GUFTAR MEI AAVE


Jis bazm mei tu naaz se guftar mei aave
Jaan kalbad-e-surat-e-deewar mei aave

Saae ki tarah saath phiren sarv o sanobar
Tu is qad-e-dilkash se jo gulzar mei aave

Tab naz-e-giran maigi-e-ashq baja hai
Jab lakht-e-jigar dida-e-khoon-bar mei aave

De mujh ko shikayat ki ijazat ki sitamgar
Kuchh tujh ko maza bhi mere azar mei aave

Us chashm-e-fusun-gar ka agar paae ishara
Tooti ki tarah aaina guftar mei aave

Kanton ki zaban sookh gayi pyaas se ya rab
Ik abla-pa vadi-e-pur-khar mei aave

Mar jaaun na kyun rashq se jab wo tan-e-nazuk
Aghosh-e-kham-e-halqa-e-zunnar mei aave

Gharat-gari-e-namush na ho gar havas-e-zar
Kyun shahid-e-gul baagh se bazar mei aave

Tab chak-e-gareban ka maza hai dil-e-nalan
Jab ik nafas uljha huwa har taar mei aave

Atish-kada hai siina mera raz-e-nihan se
Ai vaae agar mariz-e-izhaar mei aave

Ganjina-e-maani ka tilism us ko samajhiye
Jo lafz ki 'Ghalib' mere ashaar mei aave

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.