Jaur se baaz aae par baaz aaen kya
Kahte hain ham tujh ko muh dikhlaen kya
Raat din gardish mei hain saat asmaa.n
Ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya
Laag ho to us ko ham samjhen lagao
Jab na ho kuchh bhi to dhoka khaen kya
Ho liye kyun nama-bar ke saath saath
Ya rab apne khat ko ham pahunchaen kya
Mauj-e-khoon sar se guzar hi kyun na jae
Astan-e-yar se uth jaaen kya
Umr bhar dekha kiya marne ki raah
Mar gae par dekhiye dikhlaen kya
Puchhte hain wo ki 'Ghalib' kaun hai
Koi batlao ki ham batlaen kya


No comments
Post a Comment