Tuesday, 16 October 2018

JAISE HAM-BAZM HAIN PHIR YAR-E-TARAH-DAR SE HAM


Jaise ham-bazm hain phir yar-e-tarah-dar se ham
Raat milte rahe apne dar-o-divar se ham

Sarkhushi mei yunhi dil-shad o ghazal-khvan guzre
Ku-e-qatil se kabhi kucha-e-dildar se ham

Kabhi manzil kabhi raste ne hamen saath diya
Har qadam uljhe rahe qafila-salar se ham

Ham se be-bahra hui ab jaras-e-gul ki sada
Varna vaqif the har ik rang ki jhankar se ham

'Faiz' jab chaha jo kuchh chaha sada maang liya
Haath phaila ke dil-e-be-zar-o-dinar se ham

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.