Ishq minnat-e-kash-e-qarar nahin
Husn majbur-e-intizar nahin
Teri ranjish ki intiha maalum
Hasraton ka meri shumar nahin
Apni nazren bikher de saaqi
Mai ba-andaza-e-khumar nahin
Zer-e-lab hai abhi tabassum-e-dost
Muntashir jalva-e-bahar nahin
Apni takmil kar raha huun main
Varna tujh se to mujh ko pyaar nahin
Chara-e-intizaar kaun kare
Teri nafrat bhi ustuvaar nahin
'Faiz' zinda rahen vo hain to sahi
Kya hua gar vafa-shiar nahin


No comments
Post a Comment