Wednesday, 3 October 2018

KAL KE LIYE KAR AAJ NA KHISSAT SHARAB MEI


Kal ke liye kar aaj na khissat sharab mei
Yu su-e-zan hai saqi-e-kausar ke baab mei

Hain aaj kyun zalil ki kal tak na thi pasand
Gustakhi-e-farishta hamari janab mei

Jaan kyun nikalne lagti hai tan se dam-e-sama
Gar wo sada samai hai chang o rabab mei

Rau mei bhai rakhsh-e-umr kahan dekhiye thame
Ne haath baag par hai na pa hai rikab mei

Utna hi mujh ko apni haqiqat se bod hai
Jitna ki vahm-e-ghair se hun pech-o-tab mei

Asl-e-shuhud-o-shahid-o-mash.hud ek hai
Hairan hun phir mushahida hai kis hisab mei

Hai mushtamil numud-e-suvar par vajud-e-bahar
Yaan kya dhara hai qatra o mauj-o-habab mei

Sharm ik ada-e-naz hai pane hi se sahi
Hain kitne be-hijab ki hai yun hijab mei

Araish-e-jamal se farigh nahin hunuz
Pesh-e-nazar hai aaina daaim naqab mei

Hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain ham shuhud
Hain khwab mei hunuz jo jaage hain khwaab mei

'Ghalib' nadim-e-dost se aati hai bu-e-dost
Mashghul-e-haq hun bandagi-e-bu-turab mei

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.