Iza-dahi ki daad jo paata raha hun main
Har naz-afrin ko satata raha hun main
Ai khush-khiram paanv ke chhale to gin zara
Tujh ko kahan kahan na phirata raha hun main
Ik husn-e-be-misal ki tamsil ke liye
Parchhaiyon pe rang girata raha hun main
Kya mil gaya zamir-e-hunar bech kar mujhe
Itna ki sirf kaam chalata raha hun main
Ruhon ke parda-posh gunahon se be-khabar
Jismon ki nekiyan hi ginata raha hun main
Shayad mujhe kisi se mohabbat nahin hui
Lekin yaqin sab ko dilata raha hun main
Ik satr bhi kabhi na likhi main ne tere naam
Pagal tujhi ko yaad bhi aata raha hun main
Jis din se etimad mei aaya tera shabab
Us kin se tujh pe zulm hi dhata raha hun main
Apna misaliya mujhe ab tak na mil saka
Zarron ko aftab banata raha hun main
Bedar kar ke tere badan ki khud-agahi
Tere badan ki umr ghatata raha hun main
Kal dopahar ajiib si ik be-dili rahi
Bas tiliyan jala ke bujhata raha hun main
No comments
Post a Comment