Friday 12 October 2018

HU KA AALAM HAI YAHAN NALA-GARON KE HOTE


Hu ka aalam hai yahan nala-garon ke hote
Shahr khamosh hai shorida-saron ke hote

Kyun shikasta hai tera rang mata-e-sad-rang
Aur phir apne hi khunin-jigron ke hote

Kar-e-faryad-o-fughan kis liye mauquf hua
Tere kuche mei tere ba-hunron ke hote

Kiya divanon ne tere coach hai basti se kya
Varna sunsan hon rahen nigharon ke hote

Juz saza aur ho shayad koi maqsud un ka
Ja ke zindan mei jo rahte hain gharon ke hote

Shahr ka kaam hua fart-e-hifazat se tamam
Aur chhalni hue siine siparon ke hote

Apne sauda-zadagan se ye kaha hai us ne
Chal ke ab aaiyo pairon pe saron ke hote

Ab jo rishton mei bandha hun to khula hai mujh par
Kab parind ud nahin paate hain paron ke hote

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.