Friday 12 October 2018

HIJR KI AANKHEN TO MILATE JAIYE


Hijr ki aankhen to milate jaiye
Hijr mei karna hai kya ye to batate jaiye

Ban ke khushbu ki udasi rahiye dil ke baagh mei
Duur hote jaiye nazdil aate jaiye

Jaate jaate aap itna kaam to kiije mera
Yaad ka saara sar-o-saman jalate jaiye

Rah gai ummid to barbad ho jaunga main
Jaiye to phir mujh sach-muh bhulate jaiye

Zindagi ki anjuman ka bas yahi dastur hai
Badh ke miliye aur mil kar duur jaate jaiye

Akhirash rishta to ham mei ik khushi ik gham ka tha
Muskurate jaiye aansu bahate jaiye

Vo gali hai ik sharabi chashm-e-kafir ki gali
Us gali mei jaiye to ladkhadate jaiye

Aap ko jab mujh se shikva hi nahin koi to phir
Aag hi dil mei lagani hai lagate jaiye

Kuchh hai khvabon se taabiron ki samton mei to phir
Jaiye par dam-ba-dam barbad jaate jaiye

Aap ka mehman huun main aap mere mezban
So mujhe zahr-e-muravvat to pilate jaiye

Hai sar-e-shab aur mere ghar mei nahin koi charagh
Aag to is ghar mei jaanaana lagate jaiye

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.