Friday 12 October 2018

HAM ANDHIYON KE BAN MEI KISI KARVAN KE THE


Ham andhiyon ke ban mei kisi karvan ke the
Jaane kahan se aae hain jaane kahan ke the

Ai jan-e-dastan tujhe aaya kabhi khayal
Vo log kya huwe jo teri dastan ke the

Ham tere astan pe ye khane ko aae hain
Vo khaak ho gae jo tere astan ke the

Mil kar tapak se na hamen kijiye udaas
Khatir na kijiye kabhi ham bhi yahan ke the

Kya puchhte ho nam-o-nihsna-e-musafiran
Hindostan mei aae hain hindostan ke the

Ab khaak us rahi hai yahan intizar ki
Ai dil ye bam-o-dar kisi jan-e-jahan ke the

Ham kis ko den bhala dar-o-divar ka hisab
Ye ham jo hain zamin ke na the asman ke the

Ham se chhina hai naf-piyala tera miyan
Goya azal se ham saf-e-lab-tishnagan ke the

Ham ko haqiqaton ne kiya hai kharab-o-khvar
Gham khvab-e-khvab aur guman-e-guman ke the

Sad-yad-e-yad 'Jaun' vo hamgam-e-dil ki jab
Ham ek gaam ke na the par haft-khvan ke the

Vo rishta-ha-e-zat jo barbad ho gae
Mere guman ke the ki tumhare guman ke the

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.