Ham par tumhari chaah ka ilzam hi to hai
Dushman to nahin hai ye ikram hi to hai
Karte hain jis pe taan koi jurm to nahin
Shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakam hi to hai
Dil muddai ke harf-e-malamat se shaad hai
Ai jan-e-jan ye harf tera naam hi to hai
Dil na-ummid to nahin nakam ho to hai
Lambi hai gham ki shaam magar shaam hi to hai
Dast-e-falak mei gardish-e-taqdir to nahin
Dast-e-falak mei gardish-e-ayyam hi to hai
Akhir to ek roz karegi nazar vafa
Vo yar-e-khush-khisal sar-e-bam hi to hai
Bhigi hai raat 'Faiz' ghazal ibtida karo
Vaqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai


No comments
Post a Comment