Ham musafir yunhi masruf-e-safar jaenge
Be-nishan ho gae jab shahr to ghar jaenge
Kis qadar hoga yahan mehr-o-vafa ka matam
Ham teri yaad se jis soz utar jaenge
Jauhari band kiye jaate hain bazar-e-sukhan
Ham kise bechne almas-o-guhar jaenge
Naemat-e-zist ka ye qarz chukega kaise
Laakh ghabra ke ye kahte rahen mar jaenge
Shayad apna bhi koi bait hudi-khvan ban kar
Saath jaega mere yaar jidhar jaenge
'Faiz' aate hain rah-e-ishq mei jo sakht maqam
Aane valon se kaho ham to guzar jaenge


No comments
Post a Comment