Friday 12 October 2018

HAM JI RAHE HAIN KOI BAHANA KIYE BAGHAIR


Ham ji rahe hain koi bahana kiye baghair
Us ke baghair us ki tamanna kiye baghair

Ambar us ka parda-e-hurmat bana miyan
Divar tak nahin giri parda kiye baghair

Yaran vo jo hai mera masiha-e-jan-o-dil
Be-had azeez hai mujhe achhha kiye baghair

Main bistar-e-khayal pe leta huun us ke paas
Subh-e-azal se koi taqaza kiye baghair

Us ka hai jo bhi kuchh hai mera aur main magar
Vo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair

Ye zindagi ko chahiye koi sauda kiye baghair
Vaada hamen qubul hai iifa kiye baghair

Ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai
Main hun na qatl koi tamasha kiye baghair

Murshid ke jhuut ki to saza be-hisab hai
Tum chhodiyo na shahr ko sahra kiye baghair

Un anganon mei kitna sukun o surur tha
Araish-e-nazar teri parva kiye baghair

Yaran khusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamen
Sab kuchh hai khush-gavar gavara kiye baghair

Girya-kunan ki fard mei apna nahin hai naam
Ham girya-kun azal ke hain girya kiye baghair

Akhir hain kaun log jo bakhshe hi jaenge
Tarikh ke haram se tauba kiye baghair

Vo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne 'Jaun'
Shiia bana diya hamen shiia kiye baghair

Ab tum kabhi na aaoge yaani kabhi kabhi
Rukhsat karo mujhe koi vaada kiye baghair

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.