Friday 12 October 2018

HAM KAHAN AUR TUM KAHAN JANAN


Ham kahan aur tum kahan janan
Hain kai hijr darmiyan janan

Raegan vasl mei bhi vaqt hua
Par hua khuub raegan janan

Mere andar hi to kahin gham hai
Kis se puchhun tera nishaan janan

Alam-e-be-karan-e-rang hai tu
Tujh mei thahrun kahan kahan janan

Main havaon se kaise pesh aaun
Yahi mausam hai kya vahan janan

Roshni bhar gai nigahon mei
Ho gae khvab be-aman janan

Dard-mandan-e-ku-e-dildari
Gae gharat jahan tahan janan

Ab bhi jhilon mei aks padte hain
Ab bhi niila hai asmaan janan

Hai jo purkhon tumhara aks-e-khayal
Zakhm aae kahan kahan janan

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.