Hairan hai jabin aaj kidhar sajda rava hai
Sar par hain khudavand sar-e-arsh khuda hai
Kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar mei
Ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
Milta hai khiraj us ko teri nan-e-javin se
Har badshah-e-vaqt tere dar ka gada hai
Har ek uqubat se hai talkhi mei sava-tar
Vo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
Ehsan liye kitne masiha-nafason ke
Kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai


No comments
Post a Comment