Tuesday, 16 October 2018

HAMIN SE APNI NAVA HAM-KALAM HOTI RAHI


Hamin se apni nava ham-kalam hoti rahi
Ye tegh apne lahu mei niyam hoti rahi

Muqabil-e-saf-e-aada jise kiya aghaz
Vo jang apne hi dil mei tamam hoti rahi

Koi masiha na ifa-e-ahd ko pahuncha
Bohot talash pas-e-qatl-e-am hoti rahi

Ye barhaman ka karam vo ata-e-shaikh-e-haram
Kabhi hayat kabhi mai haram hoti rahi

Jo kuchh bhi ban na pada 'Faiz' lut ke yaron se
To rahzanon se dua-o-salam hoti rahi

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.