Tuesday, 16 October 2018

GULON MEI RANG BHARE BAD-E-NAU-BAHAR CHALE


Gulon mei rang bhare bad-e-nau-bahar chale
Chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale

Qafas udaas hai yaaron saba se kuchh to kaho
Kahin to bahr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chale

Kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aghaz
Kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale

Bada hai dard ka rishta ye dil gharib sahi
Tumhare naam pe aaenge gham-gusar chale

Jo ham pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
Hamare ashk teri aqibat sanvar chale

Huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab
Girah mei le ke gareban ka taar taar chale

Maqam 'Faiz' koi raah mei jacha hi nahin
Jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.