Haalat-e-haal ke sabab haalat-e-haal hi gai
Shauq mei kuchh nahin gaya shauq ki zindagi gai
Tera firaq jaan-e-jaan aish tha kya mere liye
Yaani tere firaq mei khuub sharab pi gai
Tere visal ke liye apne kamal ke liye
Haalat-e-dil ki thi kharab aur kharab ki gai
Us ki ummid-e-naaz ka ham se ye maan tha ki aap
Umr guzar dijiye umr guzaar di gai
Ek hi hadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
Baat nahi kahi gai baat nahin suni gai
Baad bhi tere jaan-e-jaan dil mei raha ajab samaa.n
Yaad rahi teri yahan phir teri yaad bhi gai
Us ke badan ko di numud ham ne sukhan mei aur phir
Us ke badan ke vaste ek qaba bhi si gai
Mina-ba-mina mai-ba-mai jam-ba-jam jam-ba-jam
Naf-piyali ki tere yaad ajab sahi gai
Kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
Aap ke shahr-e-vasl mei lazzat-e-hijr bhi gai
Kahni hai mujh ko ek baat aap se yaani aap se
Aap ke shahr-e-vasl mei lazzat-e-hijr bhi gai
Sehn-e-khayal-e-yaar mei ki na basar shab-e-firaq
Jab se vo chandna gaya jab se vo chandni gai
Us ki gali se uth ke main aan pada tha apne ghar
Ek gali ki baat thi gali gali gai


No comments
Post a Comment