Guzaran hain guzarte rahte hain
Ham miyan jaan marte rahte hain
Haae janan vo naf-pyala tera
Dil mei bas ghunt utarte rahte hain
Dil ka jalsa bikhar gaya to kya
Saare jalse bikharte rahte hain
Yaani kya kuchh bhula diya ham ne
Ab to ham khud se darte rahte hain
Ham se kya kya khuda mukarta hai
Ham khuda se mukarte rahte hain
Hai ajab us ka hal-e-hijr ki ham
Gaahe gaahe sanvarte rahte hain
Dil ke sab zakhm pesha-var hain miyan
Aan ha aan bharte rahte hain


No comments
Post a Comment