Hai ajab haal ye zamane ka
Yaad bhi taur hai bhulane ka
Pasand aaya bohot hamen pesha
Khud hi apne gharon ko dhane ka
Kaash ham ko bhi ho nasib kabhi
Aish-e-daftar mei gungunane ka
Asman hai khamoshi-e-javed
Main bhi ab lab nahin hilane ka
Jaan kya ab tera piyala-e-naf
Nashsha mujh ko nahin pilane ka
Shauq hai is dil-e-darinda ko
Aap ke hont kaat khane ka
Itna nadim hua huun khud se ki main
'Jaun' khatra hai jaan jaane ka
Ye jahan 'Jaun' ik jahannum hai
Yaan khuda bhi nahin hai aane ka
Zindagi ek fan hai lamhon ko
Apne andaz se ganvane ka
No comments
Post a Comment