Ek hi muzhda subh laati hai
Dhuup angan mei phail jaati hai
Rang-e-mausan hai aur bad-e-saba
Shahr kuchon mei khaak udati hai
Farsh par kaghaz udte phirte hain
Mez par gard jamti jaati hai
Sochta hun ki us ki yaad akhir
Ab kise raat bhar jagati hai
Main bhi izn-e-nava-gari chahun
Be-dili bhi to lab hilati hai
So gae ped jaag uthi khushbu
Zindagi khvab kyun dikhati hai
Us sarapa vafa ki furqat mei
Khvahish-e-ghair kyun satati hai
Aap apne se ham-sukhan rahna
Ham-nashin saans phool jaati hai
Kya sitam hai ki ab teri surat
Ghaur karne pe yaad aati hai
Kaun is ghar ki dekh-bhal kare
Roz ik chiiz tuut jaati hai


No comments
Post a Comment