Ik hunar hai jo kar gaya hun main
Sab ke dil se utar gaya hun main
Kaise apni hansi ko zabt karun
Sun raha hun ki ghir gaya hun main
Kya bataun ki mar nahin paata
Jite-ji jab se mar gaya hun main
Ab hai bas apna samna dar-pesh
Har kisi se guzar gaya hun main
Vahi naz-o-ada vahi ghamze
Sar-ba-sar aap par gaya hun main
Ajab ilzam hun zamane ka
Ki yahan sab ke sar gaya hun main
Kabhi khud tak pahunch nahin paaya
Jab ki vaan umr bhar gaya hun main
Tum se janan mila hun jis din se
Be-tarah khud se dar gaya hun main
Ku-e-janan mei sog barpa hai
Ki achanak sudhar gaya hun main


No comments
Post a Comment