Ek guman ka haal hai aur faqat guman mei hai
Kis ne azab-e-jan saha kaun azab-e-jan mei hai
Lamha-ba-lamha dam-ba-dam an-ba-an ram-ba-ram
Main bhi guzishtagan mei hun tu bhi guzishtagan mei hai
Adam-o-zat-o-kibriya karb mei hain juda juda
Kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan mei hai
Shakh se ud gaya parind hai dil-e-sham-e-dard-mand
Sahn mei hai malal sa huzm sa asman mei hai
Khud mei bhi be-aman hun main tujh mei bhi be-aman hun mei
Kaun sahega us ka gham vo jo meri amaan mei hai
Kaisa hisab kya hisab halat-e-hal hai azaab
Zakhm nafas nafas mei hai zahr zaman zaman mei hai
Us ka firaq bhi ziyan us ka visal bhi ziyan
Ek ajiib kashmakash halqa-e-be-dilan mei bhi
Bud-o-nabud ka hisab main nahin janta magar
Saare vajud kinahin mere adam ki haan mei hai


No comments
Post a Comment