Dil-e-barbad ko abad kiya hai main ne
Aaj muddat mei tumhen yaad kiya hai main ne
Zauq-e-parvaz-e-tab-o-tab ata farma kar
Said ko laiq-e-sayyad kiya hai main ne
Talkhi-e-daur-e-guzishta ka tasavvur kar ke
Dil ko phir mail-e-fariyad kiya hai main ne
Aaj is soz-e-tasavvur ki khushi mei ai dost
Tair-e-sabr ko azad kiya hai main ne
Ho ke israr-e-gham-e-taza se majbur-e-fughan
Chashm ko ashk-e-tar imdad kiya hai main ne
Tum jise kahte the hamgama-pasandi meri
Phir vahi tarz-e-gham ijad kiya hai main ne
Phir gavara hai mujhe ishq ki har ik mushkil
Taaza phir sheva-e-farhad kiya hai main ne


No comments
Post a Comment