Dil ko unse khuda juda na kare
Bekasi loot le khuda na kare
Isme rouze ka sajdah ho ki tavaaf
Hosh mei jo na ho wo kya na kare
Ye wahi hai ki baksh dete hain
Kaun in jurmo par saza na kare
Sab tabeebo ne de diya hai jawaab
Aah aesa agar dawaa na kare
Dil kaha le chala haram se mujhe
Are tera bura khuda na kare
Uzre ummeed-e-afwa gar na sune
Ru siyah aur kya bahana kare
Dil mei roushan hai shamma-e-ishq-e-huzoor
Kaash josh-e-havas hawa na kare
Hashr mei hum bhi sayr dekhenge
Munkir aaj unse ilteja na kare
Zof maana magar ye zaalim dil
Unke raste mei to thaka na kare
Jab teri khu hai sabka jee khana
Wahi achha jo dil bura na kare
Dil se ik zouk-e-may ka talab hu
Kaun kehta hai itteqa na kare
Le Raza sab chale Madine ko
Mai na jauun are khuda na kare

No comments
Post a Comment