Wednesday, 10 October 2018

BHEENI SUHANI SUBH MEI THANDAK JIGAR KI HAI


Bheeni suhani subh mei thandak jigar ki hai
Kaliyaan khili dilo ki hawa ye kidhar ki hai

Khubti huwi nazar mei adaa kis shahar ki hai
Chubhti huwi jigar mei sadaa kis gajar ki hai

Daalen hari hari hai to baale bhari bhari
Kishte amal pari hai ye barish kidhar ki hai

Hum jaye aur qadam se lipat kar haram kahe
Sounpa khuda ko ye azmat kis safar ki hai

Hum girde kaaba phirte the kal tak aur aaj woh
Hum par nisaar hai ye iradat kidhar ki hai

Kalik jabeen ki sajdaaye dar se chhudaavoge
Mujh ko bhi le chalo ye tamanna hajar ki hai

Dooba huwa hai shouq mei zam zam aur aankh se
Jhaale baras rahe hai ye hasrat kidhar ki hai

Barsa ke jaane walo pa ghouhar karu nisaar
Abr-e-karam se arz ye mizaabe zar ki hai

Aagosh-e-shouq khole hai jin ke liye hateem
Wo phir ke dekhte nahin ye dhun kidhar ki hai

haan haan rahe Madina hai ghafil zara tu jaag
Wo paanv rakhne wale ye jaa chashm-o-sar ki hai

Waaru qadam qadam pa ke har dam hai jaane nao
Ye raahe jaan fiza mere moula ke dar ki hai

Ghadiya gini hai barso ke ye shubh ghadi phiri
Marmar ke phir ye sil mere seene se sar ki hai

Allaho Akbar apne qadam aur ye khaake pak
Hasrat malaika ko jahan waze sar ki hai

Meraaj ka sama hai kaha pahonche zaeroo
Kursi se onchi kursi usi pak ghar ki hai

Ushhaq rouza sajde mei sue haram jhuke
Allah jaanta hai ke niyyat kidhar ki hai

Ye ghar ye dar hai uska jo ghar dar se paak hai
Muzhdah ho be-gharo ke salaa achche ghar ki hai

Mehboobe rabbe arsh hai is sabz qubba mei
Pahlu mei jalwa gah ateeqo umar ki hai

Chaye malaika hai lagaatar hai durood
Badle hai pahre badli mei barish durar ki hai

Sadaen ka qiraan hai pahluye maah mei
Jhurmut kiye hai taare tajalli qamar ki hai

Sattar hazaar subh mei sattar hazaar shaam
Yun bandagiye zulfo rukh aatho pahar ki hai

Jo ek baar aye dobara na aaenge
Rukhsat hi bargah se bas is qadar ki hai

Tadpa kare badal ke phir aana kahan naseeb
Be hukm kab majaal parinde ko par ki hai

Ae wae beikasiye tamanna ke ab ummeed
Din ko na shaam ki hai na shab ko sahar ki hai

Ye badliyan na ho to karodon ki aas jaye
Aur bargaahe marhamate aam tar ki hai

Masoom ko hai umr mei sirf ek bar bar
Aasi pade rahe to sila umr bhar ki hai

Zinda rahe to haazriye baargaah naseeb
Mar jae to hayaate abad aysh ghar ki hai

Muflis aur aise dar se phire be-ghani huwe
Chandi har ek tarah to yahan gadiya gar ki hai

Jaana pe takiya khaak nihali hai dil nihaal
Han be-nawa-o khoob ye sorat guzar ki hai

Hai chatro takht saya-e-divaaro khaake dar
Shaho ko kab naseeb ye dhaj karro far ki hai

Iss paak ku mei khaak ye basar sar-ba-khaak hai
Samjhe hai kuchh yahi jo haqiqat basar ki hai

Kyun taajdaaro, khvab mei dekhi kabhi ye shai
Jo aaj jholiyo mei gadhayaane dar ki hai

Jaaru-kasho mei chehre likhe hai mulook ke
Wo bhi kaha naseeb naam bhar ki hai

Taiba mei mar ke thande chale jaav aankhen bandh
Sidhe sadak ye shahre shafat nagar ki hai

Aesi bhi hai chahite ye taiba hai zahido
Makka nahi ke jaanch jaha khair o shar ki hai

Shaane jamaal taiba jana hai nafa mahaz
Wusaat jalale Makka mei soodo zar ki hai

Kaaba hai beshak anjum-aara dulhan magar
Saari bahar dhulhano mei dulha ke ghar ki hai

Kaaba dulhan hai turbate at-har nayi dulhan
Ye rashk-e-aftaab wo ghairat qamar ki hai

Dono bani sajeeli aneeli bani magar
Jo pe'ke paas hai wo suhagan kunwar ki hai

Sar sabze wasl ye hai siyaa poshe hijr wo
Chamki dupatto se hai jo haalat jigar ki hai

Ma wo shuma to kya ke khaleel-e-jaleel ko
Kal dekhna ki unse tamanna nazar ki hai

Apna sharaf dua se hai baaki raha kabool
Ye jaane unke haath kunji asar ki hai

Jo chahe unse maang ki dono jahan ki khair
Zar na-khareeda ek kaneez unke ghar ki hai

Roomi ghulam din habshi baandiyan shabe
Ginti kaneez zaado mei shaamo sahar ki hai

Itna ajab bulandiye jannat pe kis liye
Dekha nahi ke bheek ye kis unche ghar ki hai

Arshe bari pe kyu na ho firdous ka dimaagh
Utri huwei shabeeh tere baamo dar ki hai

Wo khuld jis mei utregi Abrar ki baraat
Adna nichawar uss mere dulha ke sar ki hai

Amber zameen abeer huwa mushke-tar gubaar
Adna si ye shanaakht teri rahguzar ki hai

Sarkaar hum gawaro mei tarze adab kahan
Humko to bas tameez yahi bheek bhar ki hai

Maangenge maange jaenge muh maangi paenge
Sarkar mei na laa hai na hajat agar ki hai

Uff be-hayayi'aa ke ye muh aur tere huzoor
Ha tu kareem hai teri khu'dar guzar ki hai

Jaavu kahan pukaru kise kiska muh taku
Kia pursish aur ja'bhi sage be-hunar ki hai

Baab-e-ata to ye hai jo bahka idhar udhar
Kaisi kharaabi uss naghare dar-ba-dar ki hai

Aabad ek dar hai tere aur tere siwa
Jo baargah dekhiye ghairat khandar ki hai

Lub wa hai aankhe bandh hai phaeli hai jholiya
Kitne maze ki bheej tere paak dar ki hai

Ghere andheriyo ne duhee hai chand ki
Tanha hu kaali raat hai mazil khatar ki hai

Kismat mei laakh pech ho sau bal hazaar kaj
Ye saari ghutthi ik teri seedhi nazar ki hai

Jannat na de na de teri ruyat ho khair se
Is ghul ke aage kisko hawas bargho bar ki hai

Mai khana-zaad kohna hu surat likhi huwe
Bando kaneezo mei mere madar pedar ki hai

Maangta ka haath uth-te hi daata ki dayn thi
Doori qubool-o-arz mei bas haath bhar ki hai

Sanki wo dekh baad-e-shafat ki de hawa
Ye abru Raza tere damaane-tar ki hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.