Rukh din hai ya mehr-e-samaa, ye bhi nahi wo bhi nahi
Shab zulf ya mushk-e-khuta, ye bhi nahi wo bhi nahi
Mumkin mei ye qudrat kaha, waajib mei abdiyat kaha
Hairan hu ye bhi hai khata, ye bhi nahi wo bhi nahi
Haq ye ki hai abde ilah aur aalam-e-imkaan ke shah
Barzakh hai wo sirre khuda, ye bhi nahi wo bhi nahi
Bulbul ne ghul unko kaha, kumree ne sarv-e-jaanfiza
Hairat ne jhunjhla kar kaha ye bhi nahi wo bhi nahi
Khurshid tha kis zour par kya badh ke chamka tha qamar
Be-parda jab wo rukh huwa ye bhi nahi wo bhi nahi
Dar tha ki isyaan ki saza ab hogi ya rouz-e-jaza
Di unki rehmat ne sadaa ye bhi nahi wo bhi nahi
Koi hai naazo zuhad par ya husne tauba hai sipar
Yaan hai faqat teri ataa ye bhi nahi wo bhi nahi
Din lahv mei khona tujhe, shab subha tak sona tujhe
Sharme Nabi khaufe khuda ye bhi nahi wo bhi nahi
Rizq-e-khuda khaya kiya, farmaan-e-haq taala kiya
Shukr-e-karam tarse saza ye bhi nahi wo bhi nahi
Hai bulbule rangi Raza ye tutiye nagma saraa
Haq ye ki wasif hai tere ye bhi nahi wo bhi nahi

No comments
Post a Comment