Dil ke tiin atish-e-hijran se bachaya na gaya
Ghar jala samne par ham se bujhaya na gaya
Dil mei rah-e-dil mei ki me.amar-e-qaza se ab tak
Aisa matbu-e-makan koi banaya na gaya
Kabhu ashiq ka tere jabhe se nakhun ka kharash
Khat-e-taqdir ke manind mitaya na gaya
Kya tunuk-hausla the dida-o-dil apne aah
Ek dam raz-e-mohabbat ka chhupaya na gaya
Dil jo didar ka qatil ke bohot bhuka tha
Us sitam-kushta se ik zakhm bhi khaya na gaya
Main to tha said-e-zabun said-gah-e-ishq ke bich
Aap ko khaak mei bhi khoob milaya na gaya
Shahr-e-dil-e-ah ajab jaae thi par us ke gae
Aisa ujda ki kisi tarah basaya na gaya
Aaj rukti nahin khame ki zaban rakhiye muaaf
Harf ka tuul bhi jo mujh se ghataya na gaya


No comments
Post a Comment