Wednesday, 10 October 2018

DIL KI TARAF KUCHH AAH SE DIL KA LAGAO HAI


Dil ki taraf kuchh aah se dil ka lagao hai
Tak aap bhi to aaiye yaan zor baav hai

Uthta nahin hai haath tera tegh-e-jaur se
Nahaq kushi kahan taiin ye kya subhav hai

Bagh-e-nazar hai chashm ke manzar ka sab jahan
Tak thahro yaan to jaano ki kaisa dikhao hai

Taqrib ham ne daali hai us se juue ki ab
Jo ban pade hai tak to hamara hi daav hai

Tapka kare hai aankh se lohu hi roz-o-shab
Chehre pe mere chashm hai ya koi ghaav hai

Zabt sarishk-e-khunin se ji kyunke shaad ho
Ab dil ki taraf lohu ka saara bahao hai

Ab sab ke rozgar ki surat bigad gai
Lakhon mei ek do ka kahin kuchh banao hai

Chhati ke meri saare numudar hain ye zakhm
Parda raha hai kaun sa ab kya chhupao hai

Ashiq kahen jo hoge to janoge qadr-e-'Meer'
Ab to kisi ke chahne ka tum ko chaav hai

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.