Dil jo zer-e-ghubar aksar tha
Kuchh mizaj in dinon mukaddar tha
Is pe takiya kiya to tha lekin
Rat-din ham the aur bistar tha
Sarsari tum jahan se guzre
Varna har ja jahan-e-digar tha
Dil ki kuchh qadar karte rahiyo tum
Ye hamara bhi naz-parvar tha
Baad yak umr jo hua maalum
Kab se ye bojh mere sar par tha
Kyun na abr-e-siyah safed hava
Jab talak ahd-e-dida-e-tar tha
Ab kharaba hua jahanabad
Varna har ik qadam pe yaan ghar tha
Be-zari ka na kar gila ghafil
Rah tasalli ki yun muqaddar tha
Itne munim jahan mei guzre
Vaqt rehlat ke kis kane zar tha
Sahib-e-jah-o-shakat-o-iqbal
Ik azaan jumla ab sikandar tha
Thi ye sab kaenat zer-e-nagin
Saath mor-o-malakh sa lashkar tha
Laal-o-yaqut ham zar-o-gauhar
Chahiye jis qadar mayassar tha
Akhir-e-kar jab jahan se gaya
Haath khali kafan se bahar tha
Aib tul-e-kalam mat kariyo
Kya karun main sukhan se khugar tha
Khush raha jab talak raha jitta
'Meer' maalum hai qalandar tha


No comments
Post a Comment