Dil jo tha ik aabla phuta gaya
Raat ko siina bohot kuuta gaya
Tair-e-rang-e-hina ki si tarah
Dil na is ke haath se chhuta gaya
Main na kahta tha ki muh kar dil ki aur
Ab kahan vo aaina tuuta gaya
Dil ki virani ka kya mazkur hai
Ye nagar sau martaba luuta gaya
'Meer' kis ko ab dimagh-e-guftugu
Umr guzri rekhta chhuta gaya


No comments
Post a Comment