Dil ishq ka hamesha harif-e-nabard tha
Ab jis jagah ki daagh hai yaan aage dard tha
Ik gard-e-rah tha pai-e-mahmil tamam raah
Kis ka ghubar tha ki ye dumbala gard tha
Dil ki shikastagi ne darae rakha hamen
Vaan chiin jabin par aai ki yaan rang zard tha
Manind-e-harf safha-e-hasti se uth gaya
Dil bhi mera jarida-e-alam mei fard tha
Tha pusta reg-e-bad ye ik vaqt karvan
Ye gard-bad koi bayaban navard tha
Guzri mudam us ki javanan-e-mast mei
Pir-e-mughan bhi turfa koi piir mard tha
Ashiq hain ham to 'Meer' ke bhi zabt-e-ishq ke
Dil jal gaya tha aur nafas lab pe sarf tha


No comments
Post a Comment