Dil gae aafat aai janon par
Ye fasana raha zabanon par
Ishq mei hosh o sabr sunte the
Rakh gae haath so to kanon par
Garche insan hain zamin se vale
Hain dimagh un ke asmanon par
Shahr ke shokh sada-ru ladke
Zulm karte hain kya javanon par
Arsh o dil donon ka hai paaya buland
Sair rahti hai un makanon par
Jab se bazaar mei hai tujh si mata
Bhiid hi rahti hai dukanon par
Log sar dene jaate hain kab se
Yaar ke paanv ke nishanon par
Kaji obash ki hai vo dar-band
Daale phirta hai band shanon par
Koi bola na qatl mei mere
Mohr ki thi magar dahanon par
Yaad mei us ke saq-e-simin ki
De de marun huun haath ranon par
The zamane mei kharchi jin ki ruupe
Phansa karte hain un ko aanon par
Gham o ghussa hai hisse mei mere
Ab maishat hai un hi khanon par
Qisse duniya mei 'Meer' bohot sune
Na rakho gosh un fasanon par


No comments
Post a Comment