Dil dimagh-o-jigar ye sab ik baar
Kaam aae firaq mei aai yaar
Kyun na ho zoaf Ghalib aaza par
Mar gae hain qushun ke sardar
Gul-e-pazhmurda ka nahin mamnun
Ham asiron ka gosha-e-dastar
Mat nikal ghar se ham bhi raazi hain
Dekh lenge kabhu sar-e-bazar
Sainkadon harf hain girah dil mei
Par kahan paiye lab-e-izhar
Sair kar dasht-e-ishq ka gulshan
Ghunche ho ho rahe hain sau sau khaar
Roz-e-mahshar hai raat hijran ki
Aisi ham zindagi se hain bezaar
Bahs naala bhi kijiyo bulbul
Pahle paida to kar lab-e-guftar
Chak-e-dil par hain chashm sad khuban
Kya karun yak anar-o-sad-bimar
Shukr kar dagh-e-dil ka ai ghafil
Kis ko dete hain dida-e-bedar
Go ghazal ho gai qasida si
Ashiqon ka hai tuul harf-e-shiar
Har sahar lag chali to hai to nasim
Ai siyah-mast-naz tak hushiyar
Shakhsane hazar niklenge
Jo gaya us ki zulf ka ik taar
Vajib-ul-qatl is qadar to huun
Ki mujhe dekh kar kahe hai pukar
Ye tu aaya na samne mere
Laao meri miyan sipar talvar
Aa ziyarat ko qabr ashiq par
Ik tarah ka hai yaan bhi josh-e-bahar
Nikle hai meri khaak se nargis
Yaani ab tak hai hasrat-e-didar
'Meer'-sahib zamana nazuk hai
Donon hathon se thamiye dastar
Sahal si zindagi pe kaam ke tiin
Apne uupar na kijiye dushvar
Chaar din ka hai majhla ye sab
Sab se rakhiye suluk hi na-char
Koi aisa gunah aur nahin
Ye ki kiije sitam kisi par yaar
Vaan jahan khaak ke barabar hai
Qadar haft-asman zulm-shiar
Yahi darkhvast paas dil ki hai
Nahin roza namaz kuchh darkar
Dar-e-masjid pe halqa-zan ho tum
Ki raho baith khana-e-khummar
Ji mei aave so kijiyo pyare
Leak huujo na darpai azar
Hasil-e-do-jahan hai yak harf
Ho meri jaan aage tum mukhtar


No comments
Post a Comment