Dekhega jo tujh ro ko so hairan rahega
Vabasta tere mu ka pareshan rahega
Vaada to kiya is se dam-e-subh ka lekin
Us dam taiin mujh mei bhi agar jaan rahega
Munim ne bana zulm ki rakh ghar to banaya
Par aap koi raat hi mehman rahega
Chhutun kahin iiza se laga ek hi jallad
Ta-hashr mere sar pe ye ehsan rahega
Chimte rahenge dasht-e-mohabbat mei sar-o-tegh
Mahshar taiin khali na ye maidan rahega
Jaane ka nahin shor sukhan ka mere hargiz
Ta-hashr jahan mei mera divan rahega
Dil dene ki aisi harkat un ne nahin ki
Jab tak jiyega 'Meer' pasheman rahega


No comments
Post a Comment