Dekh to dilki jaan se uthta hai
Ye dhuaan sa kahan se uthta hai
Gor kis diljale ki hai ye falak
Shola ik subh yaan se uthta hai
Khana-e-dil se zinhar na ja
Koi aise makan se uthta hai
Naal sar khinchta hai jab mera
Shor ik asman se uthta hai
Ladti hai us ki chashm-e-shokh jahan
Ek ashob vaan se uthta hai
Sudh le ghar ki bhi shola-e-avaz
Baithne kaun de hai phir us ko
Jo tere astan se uthta hai
Yun uthe aah us gali se ham
Jaise koi jahan se uthta hai
Ishq ik 'Meer' bhari patthar hai
Kab ye tujh na-tavan se uthta hai


No comments
Post a Comment