Daave ko yaar aage maayub kar chuke hain
Is rekhte ko varna ham khuub kar chuke hain
Marne se tum hamare khatir nachant rakhiyo
Us kaam ka bhi ham kuchh uslub kar chuke hain
Husn-e-kalam khinche kyunkar na daman-e-dil
Is kaam ko ham akhir mahbub kar chuke hain
Hangama-e-qayamat taaza nahin jo hoga
Ham is tarah ke kitne ashob kar chuke hain
Rang-e-paridan qasid bad-e-sahar kabutar
Kis kis ke ham havale maktub kar chuke hain
Tinka nahin raha hai kya ab nisar kariye
Aage hi ham to ghar ko jarub kar chuke hain
Har lahza hai tazayud ranj-o-gham-o-alam ka
Ghalib ki taba-e-dil ko maghlub kar chuke hain
Kya janiye ki kya hai ai 'Meer' vajh zid ki
Sau baar ham to us ko mahjub kar chuke hain


No comments
Post a Comment