Daman vasia tha to kaahe ko chashm tarsa
Rahmat khuda ki tujh ko ai abr zor barsa
Shayad kabab kar kar khaya kabutar un ne
Naama uda phire hai us ki gali mei par sa
Vahshi mizaj az-bas manus badya hain
Un ke junun mei jangal apna hua hai ghar sa
Jis haath mei raha ki us ki kamar hamesha
Us haath marne ka sar par bandha hai kar sa
Sab pech ki ye baten hain shairon ki varna
Barik aur nazuk mu kab hai us kamar sa
Tarz-e-nigah us ki gai sabhon ke
Kya momin o barhaman kya gabr aur tarsa
Tum vaqif-e-tariq-e-be-taqati nahin ho
Yaan rah-e-do-qadam hai ab duur ka safar sa
Kuchh bhi maash hai ye ki un ne ek chashmak
Jab muddaton hamara ji dekhne ko tarsa
Tuk tark-e-ishq kariye laghar bohot huwe ham
Aadha nahin raha hai ab jism-e-ranj-farsa
Vaaiz ko ye jalan hai shayad ki farbani se
Rahta hai hauz hi mei aksar pada magar sa
Andaz se hai paida sab kuchh khabar hai us ko
Go 'Meer' be-sar-o-pa zahir hai be-khabar sa


No comments
Post a Comment