Tuesday, 9 October 2018

DAIR-O-HARAM SE GUZRE AB DIL HAI GHAR HAMARA


Dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamara
Hai khatm us aable par sair-o-safar hamara

Palkon se teri ham ko kya chashm-dasht ye thi
Un barchhiyon ne banta baham jigar hamara

Duniya-o-din ki janib mailan ho to kahiye
Kya janiye ki is bin bil hai kidhar hamara

Hain tere aine ki timsal ham na puchho
Is dasht mei nahin hai paida asar hamara

Jon subh ab kahan hai tul-e-sukhan ki fursat
Qissa hi koi dam ko hai mukhtasar hamara

Kuche mei us ke ja kar banta nahin phir aana
Khoon ek din girega us khaak par hamara

Hai tera-roz apna ladkon ki dosti se
Us din hi ko kahe tha aksar pidar hamara

Sailab har taraf se aaenge badiye mei
Jon abr rote hoga jis dam guzar hamara

Nashv-o-numa hai apni jon gard-bad anokhi
Balida khaak rah se hai ye shajar hamara

Yun duur se khade ho kya moatabar hai rona
Daman se bandh daman ai abr-e-tar hamara

Jab paas raat rahna aata hai yaad us ka
Thamta nahin hai rona do dopahar hamara

Us karvan-sara mei kya 'Meer' baar kholen
Yaan kuchh lag raha sham-o-sahar hamara

No comments

Post a Comment

Shayars 4 World. All rights reserved. © Maira Gall.