Daman-e-koh mei jo mei daagh maar roya
Ik abr vaan se uth kar be-ikhtiyaar roya
Padta na tha bharosa ahd-e-vafa-e-gul par
Murgh-e-chaman na samjha main to hazar roya
Har gul zamin yaan ki rone hi ki jagah thi
Manind-e-abr har ja main zaar zaar roya
Thi maslahat ki ruk kar hijran mei jaan diije
Dil khol kar na gham mei main ek baar roya
Ik ijz ishq ik ka asbab-e-sad-alam tha
Kal 'Meer' se bohot main ho kar do-char roya


No comments
Post a Comment