Dard-o-andoh mei thahra jo raha main hi huun
Rang-ru jis ke kabhu muh na chadha main hi huun
Jis pe karte ho sada jaur-o-jafa main hi huun
Phir bhi jis ko hai guman tum se vafa mei hi huun
Bad kaha main ne raqibon ko to taqsir hui
Kyun hai bakhsho bhi bhala sab mei bura main hi huun
Apne kuche mei fughan jis ki suno ho har raat
Vo jigar-e-sokhta o sina-jala main hi huun
Khaar ko jin ne ladi moti ki kar dikhlaya
Us bayaban mei vo abla-pa main hi huun
Lutf aane ka hai kya bas nahin ab tab-e-jafa
Itna aalam hai bhara jaao na kya main hi huun
Ruk ke ji ek jahan dusre aalam ko gaya
Tan-e-tanha na tere gham mei hua main hi huun
Is ada ko to tak ik sair kar insaf karo
Vo bura haigaa bhala dosto ya main hi huun
Main ye kahta tha ki dil jan ne liya kaun hai vo
Yak-ba-yak bol utha us taraf aa main hi huun
Jab kaha main ne ki tu hi hai to phir kahne laga
Kya karega tu mera dekhun jo ja main hi huun
Sunte hi hans ke tak ik sochiyo kya tu hi tha
Jin ne shab ro ke sab ahval kaha main hi huun
'Meer' avara-e-alam jo suna hai tu ne
Khak-aluda vo ai bad-e-saba main hi huun
Kasa-e-sar ko liye mangta didar phire
'Meer' vo jaan se bezar gada main hi huun


No comments
Post a Comment