Dahr bhi 'Meer' turfa-e-maqtal hai
Jo hai so koi dam ko faisal hai
Kasrat-e-gham se dil laga rukne
Hazrat-e-dil mei aaj danggal hai
Roz kahte hain chalne ko khuban
Lekin ab tak to roz-e-avval hai
Chhod mat naqd vaqt-e-nasiyar par
Aaj jo kuchh hai so kahan kal hai
Band ho tujh se ye khula na kabhu
Dil hai ya khana-e-muqaffal hai
Sina-chaki bhi kaam rakhti hai
Yahi kar jab talak moattal hai
Ab ke hathon mei shauq ke tere
Daman-e-badiya ka anchal hai
Tak gareban mei sar ko daal ke dekh
Dil bhi kya laq-o-daq jangal hai
Hijr baais hai bad-gumani ka
Ghairat-e-ishq hai to kab kal hai
Mar gaya kohkan isi gham mei
Aankh ojhal pahad ojhal hai


No comments
Post a Comment