Chhut'ta hi nahin ho jise azar-e-mohabbat
Mayus hun main bhi ki huun bimar-e-mohabbat
Imkan nahin jite-ji ho is qaid se azad
Mar jaae tabhi chhute giraftar-e-mohabbat
Taqsir na khuban ki na jallad ka kuchh jurm
Tha dushman-e-jani mera iqrar-e-mohabbat
Har jins ke khvahan mile bazar-e-jahan mei
Lekin na mila koi kharidar-e-mohabbat
Is raz ko rakh ji hi mei ta ji bache tera
Zinhar jo karta ho tu izhar-e-mohabbat
Har naqsh-e-qadam par tere sar beche hain ashiq
Tuk sair to kar aaj tu bazar-e-mohabbat
Kuchh mast hain ham dida-e-pur-khoon-e-jigar se
Aaya yahi hai saghar-e-sarshar-e-mohabbat
Bekar na rah ishq mei tu rone se hargiz
Ye girya hi hai ab-e-rukh-e-kar-e-mohabbat
Mujh sa hi ho majnun bhi ye kab maane hai aaqil
Har sar nahin ai 'Meer' saza-var-e-mohabbat


No comments
Post a Comment