Chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai
Ik aag si rahe hai kya janiye ki kya hai
Main aur tu hain donon majbur-e-taur apne
Pesha tera jafa hai sheva mera vafa hai
Ru-e-sukhan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab
Sab muttafiq hain is par har ek ka khuda hai
Kuchh be-sabab nahin hai khatir meri pareshan
Dil ka aalam juda hai gham jaan ka juda hai
Husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton mei
Is martabe se aage koi chale to kya hai
Shadi se gham-e-jahan mei vo chand ham ne paaya
Hai eid ek din to das roz yaan daha hai
Hai khasam-jan-e-ashiq vo mahv-e-naz lekin
Har lamha be-adai ye bhi to ik ada hai
Ho jae yaas jis mei so ashiqui hai varna
Har ranj ko shifa hai har dard ko dava hai
Nayab us guhar ki kya hai talash asan
Ji dubta hai us ka jo tah se ashna hai
Mushfiq malaz o qibla kaaba khuda payambar
Jis khat mei shauq se main kya kya oose likha hai
Tasir-e-ishq dekho vo naama vaan pahunch kar
Juun kaghaz-e-havai har su uda phira hai
Hai garche tifl-e-maktab vo shokh abhi to lekin
Jis se mila hai us ka ustad ho mila hai
Phirte ho 'Meer' sahab sab se jude jude tum
Shayad kahin tumhara dil in dinon laga hai


No comments
Post a Comment