Chaman mei gul ne jo kal dava-e-jamal kiya
Jamal-e-yar ne muh us ka khoob laal kiya
Falak ne aah teri rah mei ham ko paida kar
Ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya
Rahi thi dam ki kashakash gale mei kuchh baaqi
So us ki tegh ne jhagda hi infisal kiya
Meri ab ankhen nahin khultin zof se hamdam
Na kah ki niind mei hai tu ye kya khayal kiya
Bahar-e-rafta phir aai tere tamashe ko
Chaman ko yumn-e-qadam ne tere nihal kiya
Javab-nama siyahi ka apni hai vo zulf
Kisu ne hashr ko ham se agar saval kiya
Laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne
Jo kuchh ki 'Meer' ka is ashiqui ne haal kiya


No comments
Post a Comment