Chaak par chaak huwa juun juun sulaya ham ne
Is gareban hi se ab haath uthaya ham ne
Hasrat-e-lutf-e-azizan-e-chaman ji mei rahi
Sar pe dekha na gul-o-sarva ka saaya ham ne
Ji mei tha arsh pe ja bandhiye takiya lekin
Bistara khaak hi mei ab to bichhaya ham ne
Baad yak umr kahin tum ko jo tanha paaya
Darte darte hi kuchh ahval sunaya ham ne
Yaan faqat rekhta hi kahne na aae the ham
Chaar din ye bhi tamasha sa dikhaya ham ne
Baare kal baagh mei ja murgh-e-chaman se mil kar
Khubi-e-gul ka maza khoob udaya ham ne
Tazgi daagh ki har shaam ko be-hech nahin
Aah kya jaane diya kis ka bujhaya ham ne
Dasht-o-kohsar mei sar maar ke chande tujh bin
Qais-o-farhad ko phir yaad dilaya ham ne
Bekali se dil-e-betab ki mar guzre the
So tah-e-khak bhi aram na paaya ham ne
Ye sitam taaza hua aur ki paiz mei 'Meer'
Dil khas-o-khar se na-char lagaya ham ne


No comments
Post a Comment