Burqa utha tha rukh se mere bad-guman ka
Dekha to aur rang hai saare jahan ka
Mat maniyo ki hoga ye be-dard ahl-e-din
Gar aave shaikh pahan ke jaama Qur'an ka
Khubi ko us ke chehre ki kya pahunche aftab
Hai us mei is mei farq zamin asman ka
Abla hai vo jo hove kharidar-e-gul-rukhan
Us saude mei sarih hai nuqsan jaan ka
Kuchh aur gaate hain jo raqib us ke ru-ba-ru
Dushman hain meri jaan ke ye ji hai taan ka
Taskin us ki tab hui jab chup mujhe lagi
Mat puchh kuchh suluk mere bad-zaban ka
Yaan bulbul aur gul pe to ibrat se aankh khol
Gul-gasht sarsari nahin us gulistan ka
Gul yadgar-e-chehra-e-khuban hai be-khabar
Murgh-e-chaman nishan hai kasu khush-zaban ka
Tu barson mei kahe hai milunga main 'Meer' se
Yaan kuchh ka kuchh hai haal abhi is javan ka


No comments
Post a Comment